ek aansu mein tere gham ka ahata karte umr lag jaegi is bund ko dariya karte ishq mein jaan se guzarna bhi kahan hai mushkil jaan deni ho to aashiq nahin socha karte ek tu hi nazar aata hai jidhar dekhta hun aur aankhen nahin thakti hain tamasha karte zindagi ne hamein fursat hi nahin di warna samne tujh ko bitha baith ke dekha karte hum saza-war-e-tamasha the hamein dekhna tha apne hi qatl ka manzar tha magar kya karte ab yahi sochte rahte hain bichhad kar tujh se shayad aise nahin hota agar aisa karte jo bhi hum dekhte hain saf nazar aa jata chashm-e-hairat ko agar dida-e-bina karte shahr ke log ab ilzam tumhein dete hain khud bure ban gae 'asim' use achchha karte