ek adhuri si kahani main sunata kaise yaad aata bhi nahin khwab wo bikhra kaise kitne sayon se bhari hai ye haweli dil ki aisi bhagdad mein koi shakhs thaharta kaise phul zakhmon ke yahan aur bhi chun lun lekin apna daman main karun aur kushada kaise dukh ke sailab mein duba tha wo khud hi itna meri aankho tumhein deta wo dilasa kaise kanch ke zar se bas dekhta rahta tha tumhein band shishon se main aawaz lagata kaise is ka phan main ne bahut der talak kuchla tha rah gaya sanp tere dard ka zinda kaise ab to aankhon mein siyahi si bhari rahti hai aise aalam mein koi khwab ho ujla kaise dagh hi dagh ubhar aae mere chehre par rang mera ai musawwir hua bhadda kaise khushk mitti mein pada tha mere dil ka paudha is ki shakhon pe koi phul bhi aata kaise