khud apna eatibar ganwata raha hun main zarre ko aaftab batata raha hun main andhi hawa ko dun koi ilzam kis liye apne diye ko aap bujhata raha hun main ek umr ke riyaz ka hasil na puchhiye reg-e-rawan pe naqsh banata raha hun main har chand maslahat ka taqaza kuchh aur tha aaina har kisi ko dikhata raha hun main bachchon ke hanste-khelte chehron ki ot mein apne dukhon ki tis chhupata raha hun main ye aur baat khud mere panw na uth sake auron ko rasta to dikhata raha hun main 'saifi' fishaar-e-gham ki tamazat ke bawajud hairat hai apni baat nibhata rahun main