ek aisa marhala-e-rah-guzar bhi aata hai koi fasil-e-ana se utar bhi aata hai teri talash mein jaane kahan bhatak jaun safar mein dasht bhi aata hai ghar bhi aata hai talash sae ki lai jo dasht se to khula azab-e-surat-e-diwar-o-dar bhi aata hai sakun to jab ho ki main chhanw sehn mein dekhun nazar to waise gali ka shajar bhi aata hai badan ki khak samete hue ho kya logo safar mein lamha-e-tark-e-safar bhi aata hai dilon ko zakhm na do harf-e-na-mulaem se ye tir wo hai ki jo laut kar bhi aata hai main shahr mein kise ilzam-e-na-shanasi dun ye harf khud mere kirdar par bhi aata hai nazar ye kis se mili na-gahan ki yaad aaya isi gali mein kahin mera ghar bhi aata hai hawa ke rukh pe nazar tairan-e-khush-parwaz qafas ka saya pas-e-baal-o-par bhi aata hai main harf harf mein utra hun raushni ki tarah so kaenat ka chehra nazar bhi aata hai lahu se harf tarashen jo meri tarah ummid unhin ke hisse mein zakhm-e-hunar bhi aata hai