zahr mein bujhti hui bel hai diwar ke sath jaise ek naika baithi ho gunahgar ke sath mujh se milna hai to ye qaid nahin mujh ko pasand har mulaqat muqayyad rahe itwar ke sath ek hi war mein marne se kahin behtar hai ek ek sar wo jo katta rahe talwar ke sath main ne har-gam pe un logon ko marte dekha wo jo jite rahe is daur mein kirdar ke sath ye jahan muflis-o-nadar ka hamdard ho kyun jis ke har kone pe tahrir hai zardar ke sath koi shair mere marne ki khabar laya hai ek sah-columni surkhi liye akhbar ke sath jashn-e-khun-nab hai maqtal mein mughanni se kaho koi ek rag naya git ho malhaar ke sath main bhi is shahr-e-khamoshan ka hi sakin hun 'umid' jis ki har lauh pe tahrir hai aazar ke sath