ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai ki rasta yahan dariya banane wala hai wo tirgi hai ki chhatti nahin kisi surat charagh ab ke lahu se jalane wala hai tumhaare hath se tarsha hua wajud hun main tumhi batao ye rishta bhulane wala hai abhi khayal tere lams tak nahin pahuncha abhi kuchh aur ye manzar banane wala hai bujhe bujhe se khad-o-khal par na ja 'shahbaz' yahi ufuq hai jo suraj ugane wala hai