ek khanuman-kharab ki daulat kahen jise wo dard dil mein hai ki mohabbat kahen jise ranai-e-khayal ke qurban jaiye surat hai wo nazar mein haqiqat kahen jise dard-e-firaq-e-yar ki majburiyan baja itna to ho na shor qayamat kahen jise de sakta ho to de mujhe dad-e-sitam-kushi ya wo suluk kar ki adawat kahen jise lazzat-kash-e-nazara hai teri nazar to kya itni to be-khudi ho ki hairat kahen jise baqi kahan se 'raaz' zamane mein aaj-kal wo husn-e-dil-nawaz mohabbat kahen jise