ek ajab aalam hai dil ka zindagi ki rah mein dekhta hun kuchh kami si husn-e-mahr-o-mah mein us ke hote bhi main ek ehsas-e-tanhai mein hun jalwa-gar hai wo jo muddat se dil-e-agah mein dur ho kar mujh se chalti hai hawa-e-jaan-faza ji raha hun phir bhi aise mausam-e-jaankah mein har qadam par kyun daraati hai mujhe ye zindagi ye jo meri raushni thi zulmaton ki rah mein kaise utthun tere dar se ai jahan-e-arzu ek aalam ko samete daman-e-kotah mein ai parastaran-e-duniya dil ki duniya hai kuchh aur kaun thokar khae bin rahta hai us ki rah mein ab na pahchane koi 'akhtar' to is ka kya ilaj umr sari kat di hai tu ne rasm-o-rah mein