ek ajnabi khayal mein khud se juda raha nind aa gai thi raat magar jagta raha sangin hadson mein bhi hansti rahi hayat patthar pe ek gulab hamesha khila raha duniya ko us nigah ne diwana kar diya main wo sitam-zarif ki bas dekhta raha ek ajnabi mahak si lahu mein rachi rahi naghma sa jaan-o-tan mein koi gunjta raha ab ja ke ye khula ki har ek shakhs dosto har shakhs ko libas se pahchanta raha fikr-e-sukhan mein raat jo aaya khayal-e-'mir' ta-der diary pe qalam kanpta raha 'saghar' tamam umr ki gardish ke bawajud main us nigah-e-naz se na-ashna raha