rang-o-sifat-e-yar mein dil dhal nahin raha shoalon ki zad mein phul hai aur jal nahin raha wo dhup hai ki ped bhi jalne pe aa gaya wo bhuk hai ki shakh pe ab phal nahin raha le aao meri aankh ki lau ke qarib use tum se bujha charagh agar jal nahin raha hum log ab zaman-o-zamana se dur hain yani yahan pe waqt bhi ab chal nahin raha