ek arz-e-muddaa hone se pahle soch lena tha khuda hone se pahle khwahishen kitni adhuri rah gai hain jism o jaan mein fasla hone se pahle aakhiri tahrir hai aab-e-rawan par aakhiri bosa qaza hone se pahle is qadar mitha na hona chahiye tha un labon ko zaiqa hone se pahle us ki aankhon ke piyale nachte hain kho gae kitne nasha hone se pahle kaun jaane dubna hai ya ubharna paniyon mein rasta hone se pahle khud-kushi kar li chamakte chand ne bhi aakhir-e-shab aaina hone se pahle shahr se shadan guzar jaana hai behtar mushtail aab-o-hawa hone se pahle wo makin-e-dil hua khurshid-'akbar' ghar ka darwaza khula hone se pahle