ek bar dekh lun to satata hai aaina bite dinon ki yaad dilata hai aaina bad-surati pe apni taras kyon na aaega jab bar bar koi dikhata hai aaina har koi is hunar se to waqif nahin magar bad-suraton ka bojh uthata hai aaina insan ki sohbaton ne ise bhi sikha diya chehron pe khub chehre chadhata hai aaina jo dagh mere chehre pe the hi nahin kabhi aksar wo dagh mujh ko dikhata hai aaina sach puchhiye to chehron pe likkha nahin hai kuchh apne hi dil ki baat batata hai aaina us waqt kaenat ka aalam na puchhiye jab pattharon se aankh milata hai aaina baatin ki kuchh khabar hai na zahir pe kuchh ayan kuchh raaz is tarah bhi chhupata hai aaina mahfil mein sab se aankhen churaata hai go 'ziya' tanhaiyon mein sath nibhata hai aaina