waqt-e-rukhsat har ek baat rone lagi aakhiri thi mulaqat rone lagi sar jhukae andheron ki aaghosh mein jaane kyon raat-bhar raat rone lagi justuju zindagi ko tabassum ki thi dekh kar talkh haalat rone lagi asp-o-farzin gae shutur bhi na rahe kha ke paidal se shah mat rone lagi dar se munim ke sail ko kuchh na mila khali daman pe khairaat rone lagi rahzanon ke sitam zulm ko dekh kar ab kamin-gah mein ghat rone lagi be-gunahi thi chehron se un ke ayan qaidiyon par hawalat rone lagi narmada tapti mein lahu dekh kar gul-fishan khak-e-gujraat rone lagi har qadam sazishen qatl-o-ghaarat-gari azmat-e-hind haihat rone lagi bughz-o-nafrat ke sailab mein ghota-zan ganga-jamani musawat rone lagi sar mataf-e-haram mein jhuka jab kabhi lab pe 'sakhir' munajat rone lagi