ek barq-e-tapan kaunde bijli si chamke jae is aariz-e-rangin se parda jo sarak jae zahid ho to chhak jae naseh ho to thak jae kam-zarf hai wo mai-kash jo pi ke bahak jae sawan ki ghata utthe bhadon ka saman bandhe wo zulf jo bikhra de mahaul mahak jae kaliyon ke tabassum par tum bhi na kahin hans do dar hai ki rag-e-gul mein kante na khatak jae ai jurat-e-rindana kuchh tu hi madad farma ya un ka hijab utthe ya meri jhijhak jae aae bhi to ho jae jazb aankhon hi aankhon mein wo ashk nahin hai jo palkon se dhalak jae kya shai hai talluq bhi kya chiz hai nisbat bhi jab zikr tera aae kanta sa khatak jae ab sabr-o-tahammul ka ai 'taj' khuda-hafiz paimana labaalab hai dekho na chhalak jae