jab bhi saman-e-sukun-e-dil-o-jaan hone laga chot khai thi kabhi is ka guman hone laga ab teri anjuman-e-naz koi raaz nahin ab mera dard bhi lafzon mein bayan hone laga zist kya chiz hai koi bhi na pahchan saka surkh-ru kaun hua kis ka ziyan hone laga shoala-e-gul ne liya daman-e-gulchin se khiraj khud bahaaron ko bhi ehsas-e-khizan hone laga chaaragar chaak-gareban ki khabar lene lage aam phir shikwa-e-bedad-garan hone laga waqt ke sath to ehsas bhi mit jata hai kis ko malum ki ab dard kahan hone laga kisi tufan ki aamad hai khuda khair kare mehrban hum pe jo wo dushman-e-jaan hone laga