ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain hum kaghaz ki naw bana kar roz safar mein rahte hain hone aur na hone ka ek barzakh hai hum jis mein hain jis mein sham ghuli rahti hai aisi sahar mein rahte hain apna to ab is duniya se kuchh aisa hi nata hai jaise nind mein chalne wale khwab-nagar mein rahte hain pasti aur bulandi kya ab apne khwab hayule bhi gard ki surat udte hain aur rahguzar mein rahte hain nind-nagar mein ja kar hur se pahron baaten hoti hain kaise kaise khwab mere diwar-o-dar mein rahte hain ek hawa ke jhonke hi se laraz gae hain baam-o-dar 'shabnam' aaise lagta hai hum ret ke ghar mein rahte hain