gae baras ki yahi baat yaadgar rahi faza ghamon ke liye khub sazgar rahi agarche faisla har bar apne haq mein hua saza-e-jurm bahar-haal barqarar rahi badalti dekhin wafadariyan bhi waqt ke sath wafa jahan ke liye ek karobar rahi ab apni zat se bhi e'timad un ka utha wo jin ki baat kabhi harf-e-e'tibar rahi khabar thi go use ab mojaze nahin hote hayat phir bhi magar mahw-e-intizar rahi na koi harf-e-malamat na koi kalma-e-khair ye zist ab na kisi ki bhi zer-e-bar rahi ye aur baat ki dil gham mein khud kafil hua magar wo aankh mere gham mein ashk-bar rahi