ek bhayanak tirgi hai raushni ai raushni sham-e-jaan bujhne lagi hai raushni ai raushni kya koi bhatka hua jugnu idhar bhi aaega raat gahri ho chali hai raushni ai raushni aasmanon par sitare hain na sinon mein sharar ye qayamat ki ghadi hai raushni ai raushni khatm kab hoga ye ehsas-e-ziyan ka rat-jaga ek ek lamha sadi hai raushni ai raushni hum andheron ke hawari ban ke zinda hain magar zindagi sharmindagi hai raushni ai raushni apni qismat mein hai nok-e-khar ya shakh-e-bahaar phul hain ya phuljhadi hai raushni ai raushni