jalti hui ruton ke kharidar kaun hain ai paikar-e-ghazal tere bimar kaun hain khushbu ki saaton ke talabgar kaun hain is zulf-e-mushk-bu ke giraftar kaun hain kab tak chhupe rahenge azal khamushi ke bhed shahr-e-sada ke mahram-e-asrar kaun hain kirnon ki rahguzar pe udti hai dhul si jo us taraf gae hain wo ji-dar kaun hain sinon mein le ke walwala-e-zindagi ki aag asr-e-rawan se bar-sar-e-paikar kaun hain sadiyon se muntazir hain sulagti masafaten aasaish-e-junun ke talabgar kaun hain sarmast kar gai jinhen apne lahu ki lai wo arsa-e-nabard ke fankar kaun hain mein to gharib-e-shahr-e-sukhan hun magar 'jalil' farman-rawa-e-kishwar-e-izhaar kaun hain