ek bhi chain ka bistar nahin hone deta mere ghar ko wo mera ghar nahin hone deta nit-naya ek shagufa wo dikhata hai mujhe zulm ki had wo muqarrar nahin hone deta sab ko dikhlata hai wo chhota bana kar mujh ko mujh ko wo mere barabar nahin hone deta kaisi sazish hai ye us ki zara main bhi dekhun kyun mujhe wo sar-e-manzar nahin hone deta khauf kaisa hai ye shahin ke qabile mein 'tapish' kyun mamlun mein koi par nahin hone deta
Please share if you liked this!!!