ek chand sa rahta hai jo chehra mere aage

ek chand sa rahta hai jo chehra mere aage
saya mere pichhe hai ujala mere aage

tarif ke alfaz na mil paen lughat mein
kaghaz yunhi rakkha hai ye kora mere aage

taswir teri banti ye mumkin hi nahin tha
har ek brush aap hi tuta mere aage

puja hai shab-o-roz tere husn ka paikar
sadhu kai japte rahe mala mere aage

phulon ki ye barish hai shagun-nek shab-e-wasl
zarbaft ka utra hai ye joda mere aage

har maut pe lagta hai ye hum ko ki sar-e-ishq
ek dar-o-rasan aur hai takhta mere aage

kya dida-dileri rahi hathon mein mahaarat
daulat meri millat ki safaya mere aage

hai bahr wahi qafiya 'ghaalib' ki radif aur
'safwat' tere ashaar hain kasa mere aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close