ho kashf-e-nazar hum pe to ho jae ayan aur didar musalsal ho saman par ho saman aur ho kun-fa-yakun aur chale kar-e-zaman aur paida nae tare hon munawwar ho jahan aur hon mahr-o-mah-o-najm mere panw ke niche hon khuld se upar bhi bahut kaun-o-makan aur ho rakht-e-safar surat-e-burraq hamara mearaj pe mearaj ho har roz yahan aur gardish ho ishaaron pe mere shams-o-qamar ki bantun main har ek fard ko ek umr-e-rawan aur khaliyon mein jo ghadiyan hain wo qabu mein hon apne dil aae to piri ho dil aae to jawan aur ho pairahan-e-subh mein sadiyon ka ujala ho phir na kabhi sham ki lali mein fughan aur ho masjid-e-nabwi meri aawaz bilali wo samne baithe hon main dun ek azan aur 'safwat' sar-e-fihrist hain go lauh-e-takhayyul kahte hain ki 'ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur