ek charagh-e-dil faqat raushan agar mera bhi hai rahnuma mera bhi hai phir rahbar mera bhi hai ab talak hairan hun main raat ke us khwab se khun ki barsat hai ghar tar-ba-tar mera bhi hai shart har manzur kar li zindagi ki main ne bhi dastakhat ab is qarar-e-zist par mera bhi hai yun bahaaron ke liye mahw-e-dua rahta hun main phul ki manind ek lakht-e-jigar mera bhi hai husn hai tu tera bhi charcha rahega daimi ishq hun main aur afsana amar mera bhi hai ped mitti dhup pani mein adawat ho gai phul lagte hi sabhi bole samar mera bhi hai mah-o-anjum rakh na rakh us mein mere malik magar aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai aalamon ki baat ka 'saurabh' bharosa hai mujhe tajraba kuchh zindagi ka han magar mera bhi hai