log kyun dhund rahe hain mujhe patthar le kar main to aaya nahin kirdar-e-payambar le kar mujh ko malum hai madum hui naqd-e-wafa phir bhi bazar mein baitha hun muqaddar le kar ruh betab hai chehron ka tassur padh kar yani be-ghar hua main shahr mein ek ghar le kar kis nae lahje mein ab ruh ka izhaar karun sans bhi chalti hai ehsas ka khanjar le kar ye ghalat hai ki main pahchan ganwa baitha hun dar tak main hi gaya harf-e-mukarrar le kar mojaze hum se bhi hote hain payambar ki tarah hum ne mabud tarashe fan-e-azar le kar khud-kushi karne chala hun mujhe roko 'tariq' zakhm-e-ehsas mein chubhte hue nashtar le kar