ek charagh yahan mera hai ek diya wahan tera bich mein aqlimen padti hain pani aur andhera koi na jaane kaun sa lafz hai jis se ji utthunga jis tair mein jaan hai meri us ka dur basera sahil par to hath ko hath sujhai nahin deta hai shayad kisi jahaz mein bhar kar lae koi sawera bhara hua hai jaanwaron aur sanpon se ye jangal hijr dikhai deta tha bahar se sabz ghanera dhup aur barish bhejne wale meri bhi sun lena tere bagh ke goshe mein ek kachcha phul hai mera