jaana jaana jaldi kya hai in baaton ko jaane do thahro thahro dil to thahre mujh ko hosh mein aane do panw nikalo khalwat se aae jo qayamat aane do sayyare sar aapas mein takraen agar takrane do baadal garja bijli chamki roi shabnam phul hanse murgh-e-sahar ko hijr ki shab ke afsane dohrane do hath mein hai aaina o shana phir bhi shikan peshani par mauj-e-saba se tum na bigdo zulfon ko bal khane do kasrat se jab nam-o-nishan hai kya honge gumnam 'safi' naqsh dilon par nam hai apna naqsh-e-lahad mit jaane do