ek chehra guman mein rahta hai baadalon ke jahan mein rahta hai hum to pagdandiyon ke rahi hain aur wo kahkashan mein rahta hai ishq ki ek yahi kharabi hai har ghadi imtihan mein rahta hai sirf us ki talash hai mujh ko aur wo aasman mein rahta hai ganw ka husn dekhiye sahib chand kachche makan mein rahta hai