ek chehra tera hai ghar ke liye

ek chehra tera hai ghar ke liye
ek chehra bhare nagar ke liye

dusra ishq ab nahin hoga
dard kafi hai ek sar ke liye

dil bahalta hai aisi baaton se
kab hai mangi dua asar ke liye

aur bhi zad-e-rah hain lekin
lazmi hai yaqin safar ke liye

be-basar tu nahin hai man liya
ho basirat bhi rahbar ke liye

qariya-e-jaan mein khushk-sali hai
dil tarasta hai chashm-e-tar ke liye

kitne zi-ruh phir rahe hain yahan
kyon hain sab zabte bashar ke liye

kyon bhala ek dil ko de dala
gham bana tha jo shahr bhar ke liye

yun 'hidayat' talash mein apni
jaise tarse shajar samar ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close