hai kya kyon aur kaise chhod de in sab sawalon ko sanbhal ja aql dil ab jaanta hai teri chaalon ko aqidat mein haqiqat gum hui aisi ki ab aksar mujassam dekhte hain hum khud apne hi khayalon ko zaban-bandi ka mausam hai chaman mein kya karen ja kar har ek bulbul se kahna rok rakkhe apne nalon ko aqidat fikr ko taqlid par majbur karti hai muqallid dil bana deta hai kitne aql walon ko bachega kya hamare pas apni zindagani se agar tafriq kar den hum tumhaare chand salon ko na darwaza khula us ka na hi aaya gaya koi tumhaare baad bas ab dekhte hain dil ke jalon ko koi rauzan koi khidki koi rasta kahin par ho andhere dhundte hain har taraf din ke ujalon ko pade hain aql pe jo har aqidat-mand salik ki na jaane kaise khologe 'hidayat' aise talon ko