ek daere ki shakl mein khincha hua hisar yalghaar se kuchh aur bhi badla hua hisar ek shahr-e-khwab tha ki jahan qila-band the aada ki yurishon se tawana hua hisar chahe rasad ke raste masdud the bahut jitna badha muhasara pukhta hua hisar aabaad bastiyan thin fasilon ke sae mein aapas mein bastiyon ko milata hua hisar indar se rah kisi ne dikhai ghanim ko phir main tha aur samne girta hua hisar