khak the ghuncha-lab aur khwab thi lahje ki khanak jhad gaya qabr mein jab husn-e-sarapa ka namak wo jin aankhon mein thi barsat ke manzar ki jhalak ab un aankhon mein safedi na siyahi na dhanak wo surahi si jo gardan ki hai tuti-phuti wo kamar hi na rahi jis mein ki paida ho lachak qabr ki khak hi ghaza hai wahi zinat hai wan na afshan na hi surkhi na hi jhumar na tilak