ek dafa jo tere zer-e-asar andha hua

ek dafa jo tere zer-e-asar andha hua
agli dafa bhi wahi hoga agar andha hua

mere andar raushni thi khun to tha hi nahin
war karne wala pahle war par andha hua

wo nazar aata hai to phir kuchh nazar aata nahin
us ko jis jis ne bhi dekha umr bhar andha hua

sab usi ko dekh kar aae hain rah-e-ishq par
jis ka aaghaz-e-safar mein ham-safar andha hua

aankhen khul jati hain jis haalat mein khud ko dekh kar
main usi haalat mein us ko dekh kar andha hua

us ko aankhen mil gain ghar mein hamesha ki tarah
main hamesha ki tarah auron ke ghar andha hua

us ne ek andhe ko tohfe mein chhadi kya bhej di
dekhte hi dekhte sara nagar andha hua

mere andhe-pan ka auron ne uthaya faeda
wo jidhar hota nahin tha main udhar andha hua

aise andhe ki hukumat hai hamare mulk mein
jis ko ye bhi kah nahin sakte kidhar andha hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close