ek dafine mein ajab rang ka patthar nikla ghaur se ki jo nazar us pe to gauhar nikla jis ne ek markaz-e-talim diya hai logo bas haqiqat mein wo ek qaum ka rahbar nikla jo khandar khoda gaya dekh ke hairat ye hui shamil us mein bhi mere nam ka patthar nikla sang-dil hai jo zamane ki nigahon mein bahut han wahi mere liye mera muqaddar nikla shahr mein aaya palat kar main safar se jis dam jis ko pahchan na paya wo mera ghar nikla koi tartib na thi ghar mein kitabon mein meri mera kamra bhi to akhbar ka daftar nikla sab ko taufiq-e-adab hoti hai 'iqbaal' kahan jis ko hasil hui qismat ka sikandar nikla