ek dam us ne juda ki na naqab-e-ariz na hua dur shab-e-wasl hijab-e-ariz kis pe barham hain buton ka jo bana hai chehra kis pe laega ghazab aaj itab-e-ariz lala-o-gul hain zamin par to falak par mah-o-mehr lekin in mein se nahin koi jawab-e-ariz dekh kar jalwa-e-rukhsar hua main behosh tez kis darja thi allah sharab-e-ariz shoala-e-tur gul-e-tar mah-o-khurshid-e-falak aashiqon mein tere kya kya hain khitab-e-ariz na diya mushaf-e-rukhsar ka bosa hum ko us ne kholi na shab-e-wasl kitab-e-ariz