chalte rahne ke liye dil mein guman koi to ho be-natija hi sahi par imtihan koi to ho aasmanon ke sitam sahti hain is ke bawajud sab zaminen chahti hain aasman koi to ho mehrbanon hi se bach kar aae the tum dasht mein ab yahan bhi lag raha hai mehrban koi to ho qahqahon ko yaad rakhti hi nahin duniya kabhi is liye dukh ki bhi pyare dastan koi to ho kar raha hun main darakhton se musalsal guftugu is ghane jangal mein 'danish' ham-zaban koi to ho