ek daman mein phul bhare hain ek daman mein aag hi aag ye hai apni apni qismat ye hain apne apne bhag rah kathin hai dur hai manzil waqt bacha hai thoda sa ab to suraj aa gaya sar par sone wale ab to jag piri mein to ye sab baaten zahid achchhi lagti hain zikr-e-ibaadat bhari jawani mein jaise be-waqt ka rag auron par ilzam-tarashi fitrat hai hum logon ki sach puchho to pal rakhe hain hum ne khud zahrile nag yahin pade rah jaenge sab mal khazane dhan-daulat maut padi hai tere pichhe bhag sake tu jitna bhag hirs-o-hawa ki is duniya se bach ke raho to achchha hai behtar hai shiraaz ki dawat se bas rukhi roti sag