guzra hua zamana phir yaad aa raha hai bhula hua fasana phir yaad aa raha hai jo phul ban gaya hai honton par us ke aa kar wo harf-e-mahramana phir yaad aa raha hai jis mein the chand tare mahbub the hamare kyun wo nigar-khana phir yaad aa raha hai wo do dilon ko jis ne hamraaz kar diya tha wo raaz-e-dil-barana phir yaad aa raha hai jis ki bisat ulat di ai 'soz' aasman ne kyun wo sharab-khana phir yaad aa raha hai