ek dard ki lazzat hi sahi khwahish-e-gham mein aankhen hi na bah jaen kahin barish-e-gham mein is ghar ki sajawat to anokhi hai sada se dil roz ujadta raha aaraish-e-gham mein itna bhi sukun pahle to hasil hi nahin tha jitna hai mayassar abhi aasaish-e-gham mein ab dusri duniya hi sanwar jaegi shayad jannat ki tamanna hai bahut kawish-e-gham mein han khalq banaegi yahan roz fasane tum sath zamane ke raho pursish-e-gham mein