ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham jab chand jharoke mein nikalta hai sar-e-sham be-nam si ek aag dahak uthti hai dil mein mahtab jo thandak si ugalta hai sar-e-sham kuchh der shafaq phulti hai jaise ufuq par aise hi mera haal sambhalta hai sar-e-sham ye dil hai mera ya kisi kutiya ka diya hai bujhta hai dam-e-subh to jalta hai sar-e-sham banta hai wo ek chehra kabhi gul kabhi shoala sanche mein khayalon ke jo dhalta hai sar-e-sham chhat jati hai aalam-e-zamana ki siyahi jab daur teri yaad ka chalta hai sar-e-sham main dur bahut dur pahunch jata hun 'taib' rukh soch ka dhaara jo badalta hai sar-e-sham