ek naya karb mere dil mein janam leta hai qafila dard ka kuchh der jo dam leta hai rang pata hai mere khun-e-jigar se gul-e-sher sabza-e-fikr meri aankh se nam leta hai aabru haqq-o-sadaqat ki badha deta hai jab bhi suqraat koi saghar-e-sam leta hai raat ke sae mein shabnam ke guhar dhalte hain raat ki kokh se khurshid janam leta hai zehn be-nam dhundlakon mein bhatak jata hai aaj fankar jo hathon mein qalam leta hai jis ko ho daulat-e-ehsas mayassar 'taib' chain wo kar-gah-e-zist mein kam leta hai