ek dariche ki tamanna mujhe dubhar hui hai wo ghutan hi meri sanson pe muqarrar hui hai aaj rakkhe hain qadam us ne meri chaukhat par aaj dahliz meri chhat ke barabar hui hai nind ne nind se chaunka ke uthaya mujh ko khwab mein khwab ki tabir ujagar hui hai us ne raaton ke taqaddus ko kiya hai majruh ek mutthi bhi jise dhup mayassar hui hai jab se sikha hai hunar shishagari ka main ne bas usi din se ye duniya hai ki patthar hui hai ab zaminon ko bichhae ki falak ko odhe muflisi to bhari barsat mein be-ghar hui hai ek muddat se jo sahra-e-masarrat thi 'salim' gham ke chhute hi wahi chashm samundar hui hai