hum apne-ap se karte rahe bayan tanha tumhaari bazm mein baithe kahan kahan tanha taghayyuraat ke aaseb mein wajud mera ujad ban mein ho jaise koi makan tanha ye soz-o-saz ka paikar ye haddiyon ka nagar jo aag pae to chatkhe uthe dhuan kahin kisi ki siyasat na rang lai ho bhare chaman mein hai kyun aaj baghban tanha ye bar-e-ishq jise aasman utha na saka uthae phirta raha hun main na-tawan tanha tumhaare aane ki aahat to kab se sunta hun chale bhi aao mere pas mehrban tanha hamin harif rahe aur hamin halif hue hamare baad hua mir-e-karwan tanha wahi to dushman-e-jaan hai usi se kaise bachen wo ek shakhs jo aaya tha kal yahan tanha yahi zamin tamaddun ki raazdar rahi yahi zamin ugalti rahi dhuan tanha