ek dasht mein ek karwan rukta raha chalta raha khauf-o-khatar ke darmiyan rukta raha chalta raha phulon har us us jagah aa kar basain bastiyan in raston par tu jahan rukta raha chalta raha pahle the virane jahan ab hain wahan aabaadiyan yani hujum-e-be-karan rukta raha chalta raha chalte hue rukte hue dekha to main hairan hua hamrah mere aasman rukta raha chalta raha jaane kahan ke log the aur ja rahe the wo kahan har shakhs pahne bediyan rukta raha chalta raha mere guzishta ke nishan mujh ko na aa pae nazar ai zindagi main kab kahan rukta raha chalta raha go qafile ki har sawari 'qais' thak ke mar gai be-dam akela sarban rukta raha chalta raha