kya batlaen yaad nahin kab ishq ke hum bimar hue aisa lage hai arsa guzra hum ko ye aazar hue aap ka shikwa aap se karna ju-e-shir ka lana hai aap ke samne bolun kaise aap meri sarkar hue tir ki tarah kirnen barsin subh nikalte suraj ki lahuluhan tha sara chehra nind se jab bedar hue adl ki to zanjir hilane hum bhi gae darwaze tak hath magar zanjir na aai matub-e-darbar hue jo bhi zakhm liye the dil par hum ne un ki chahat mein un se kah dena wo sare zakhm gul-o-gulzar hue 'mir' ka to ahwal padha hai kya 'nusrat' tum bhul gae ye nagri hai ishq ki nagri kya kya sayyad khwar hue