ek dher rakh mein se sharar chun raha hun main khwabon ke darmiyan khabar chun raha hun main kya dil-kharash kaam hua hai mere supurd ek zard rut ke barg-o-samar chun raha hun main ek khwab tha ki tut gaya khun ke habs mein ab tund dhadkanon ke bhanwar chun raha hun main kya jaane us ke khat mein dhuan kya hai harf harf mafhum chun raha hun asar chun raha hun main ai ramz-ashna-e-tajassus idhar bhi dekh aandhe samundaron se guhar chun raha hun main wo mustaqil ghubar hai chaaron taraf ki ab ghar ke tamam rauzan o dar chun raha hun main 'bani' nazar ka zawiya badla hai is tarah ab har faza se chiz-e-digar chun raha hun main