shauq ki had ko abhi par kiya jaana hai aaine mein tera didar kiya jaana hai hum tasawwur mein bana baithe hain ek chaara-gar khud ko jis ke liye bimar kiya jaana hai dil to duniya se nikalne pe hai aamada magar ek zara zehn ko tayyar kiya jaana hai tod ke rakh diye baqi to ana ne sare but bas ek apna hi mismar kiya jaana hai dekhni hai kabhi aaine mein apni surat ek mukhalif ko taraf-dar kiya jaana hai masala ye nahin ki ishq hua hai hum ko masala ye hai ki izhaar kiya jaana hai khwabon aur khwahishon ki baaton mein aa kar kab tak khud ko ruswa sar-e-bazar kiya jaana hai ek hi bar mein ukta se gae ho jis se ye tamasha to kai bar kiya jaana hai kaun padhta hai yahan khol ke ab dil ki kitab ab to chehre ko hi akhbar kiya jaana hai