ek dhuan uth raha hai aangan se hain abhi kuchh charagh raushan se is mein shamil hai bu-e-aflaki ye hawa aa rahi hai kis ban se dene aaya hun fath ka muzhda bhag aaya nahin hun main ran se manzilon ki bhi aarzu hai bahut dar bhi lagta hai mujh ko ran-ban se ab bhi kya raat ke andhere mein shola uthta hai gulshan-e-tan se surkh-ru ishq ki badaulat hun ki main is aag mein hun bachpan se ye zamana hai chaplusi ka hum to waqif nahin isi fan se mujh se pahchan teri qaem hai main tumhein chahta hun tan-man se