wo mere gham mein bhi khandan nahin hone pata hae wo kufr jo iman nahin hone pata wo nasheman ki jo barbaad-e-bahaaran ho jae wo kahin sokhta-saman nahin hone pata ho agar hosh bhi ehsas-e-bahaaran mein sharik chaak apna bhi gareban nahin hone pata itni aasan bhi gham-e-dost ki takmil nahin ghar bhi ujde to bayaban nahin hone pata yun bhi ek umr guzar jati hai milte milte ek ko ek ka irfan nahin hone pata 'shor' khamosh nahin mere hi zindan ke charagh shahr-e-khuban bhi charaghan nahin hone pata