ek dhundla sa sitara bhi bahut hota hai shab-e-gham mein ye sahaara bhi bahut hota hai gardish-e-waqt pe kya hai meri barbaadi mein hath dar-parda tumhaara bhi bahut hota hai be-qararan-e-mohabbat ki tasalli ke liye un ka adna sa ishaara bhi bahut hota hai kyun main tufan o talatum ki panahen dhundun dubne ko to kinara bhi bahut hota hai dubne wale ko dariya-e-mohabbat mein 'nasim' ek tinke ka sahaara bhi bahut hota hai