mah-ru yan hazar ko dekha hum ne ab tak na yar ko dekha umr bhar muntazir rahe us ke rah ke intizar ko dekha wada-e-hashr log kahte hain hum ne wo bhi qarar ko dekha koi aaya nazar na us ja bhi jab dil-e-gham-gusar ko dekha rah gae na-murad duniya mein kitne sar iftikhar ko dekha bagh-e-hasti mein surkh-ru na hue gul ke har khar khar ko dekha ganj jis ja hai us jagah 'miskin' baithe rahte hain mar ko dekha